Tete-a-Tete with Ace Actor Farooq Khan
Farooq Khan started his career in Bollywood 26 years
ago and since then has worked in some renowned TV serials and films such as
Sanjay Khan’s Jay Hanuman, 1857 Kranti and Chandrakanta has acted with leading
Bollywood stars in films such as Bollywood Diaries, Bhootath Returns along with
web series like On the Key and Naxalbari. Khan has also been part of leading
commercials and has been acting lately in the prime time daily soaps.
26 years
in the industry why do you feel it still just the beginning?
Mein iss
industry har ek din ko ek naye din ki tarah leta hu har ek character ko jo mein
play karta hu use puri tayari ke sath jaise aaj mera pehla din ho, Usi tarah se
plan karta hu aur iss industry mein har din par kuch naya shikhne ko milta hai
jitna mein shikhta hu jitna mein samajhta hu yahi lagta h ki abhi to meine kuch
shikha hi nhi hai abhi bohot kuch seekhna baaki hai.
Your
project flop as a hero, so how did you deal with it?
Ye jo time
tha bohot hi difficult tha kahi se kaam nhi mill pa raha tha or jo kaam mile
the wo saare project sell ho gye, Uske baad serial se shuruwaat hui serial
jaise chadlndrakanta , jai hanuman , 1857 kranti or kai saare serials kiye
meine.
Share
some moments you remember during the 26 years of your journey?
Mere liye to
har din ek wow moment hai Camera mei liya hua har shot mere liye wow moment he
rahega Waise shikhne ke hisab kitab se
kahu to Sanjay khanJji ke sath jo meine serial kiye jai hanuman, 1857 kranti,
kahani mahabharat ki, har ek serial mei jo kuch bhi shikhne ko mila jiski
badolat mei iss industry mei kayam hu.
Any
advice for youngsters out there waiting to get a break?
Ab
youngsters ke liye kya advice kar sakte hain, iss industry mein aane ke liye
sabse zyada zaruri hai hardwork aur hardwork se bhi zyada zaruri hai takdeer. Agar
aapki takdeer achi hai to aapko kaam milega he milega Magar shirf takdeer ke
balbute pe kaam nhi chalta hardwork mehnat bohot zyada zaruri hai iss industry
mein tike rehne ke liye ek actor ko bohot zyada mehnat or mashakat karni padti
hai. Bas jo kaam jis tarah se aata hai use usi tarah se lena chahiye Or usko
character mei dhalne se pehle puri tarike se tayari karni hai usko us character
ko samajhna hoga jo us character ke baare mei baate jo ek choti choti briefing
choti choti details hoti hai us detail ko us actor ko samajhna chahiye Or uske hisaab se kaam karna chahiye Or
apne attitude or baaki saari cheeze jo bhi ye aajkal ke youngster ke andar hoti
hai use apne ghar he chorkar aaye, iss industry mei jo sabse badi baat maine
rakhti hai wo hai apna attitude. Agar aap ek ache actor hai mehnat karte hai
apne character ko samjhte hai to aapke liye iss industry ke darwaaze khule hai
agar aap ache actor hone ke bawujud aapke andar kuch attitude hai kuch aapke
andar chote mote faults hai or aap kitna bhi acha kaam kare or janta ne aapko
pasand nhi kia to khatam hogyi aapki life.
Does
nepotism exist?
I don't
thing nepotism naam ki koi cheez bhi iss industry mein hai.
What are
your views on changing technology that is affecting the entertainment industry?
Changing
technology se ye hua hai ki jo ek seen shoot kia jata hai use editing table par
bohot behtarin banaya jata hai aaj kal jo VFX hai kafi saari nai nai technology
hai camera ke lenses itne ache ache aarhe hai or camera itne ache ache aarhe
hai ki jo beckgroud hota hai background ke jo color effect jo hote hai or ya jo
bhi effect hote hai wo itne ache se milte hai ki jo pehle milna mushkil hota
tha magar aaj kaafi saari cheeze badal gyi hai or ek actor ko in saari cheezo
ke hisaab se tayar rehna chahiye.
Comments
Post a Comment