Interview of Mr. Harvinder Mankkar (Creator of Motu Patlu)
Interview of
Mr. Harvinder Mankkar (Creator of Motu Patlu)
Namaskar, Aadaab,
Salute Huzur, aap sabke rubaru Aakar mujhko bahut achcha lag raha hai Sensationz
Media and Arts ka me bahut bahut abhaari ho jinhoney mujhko ye mauka diya mujhe
iss layak samjha ki me apkey samney aaoo or jo unkey sawal hai ya jo uneki kuch
uttsuktaye hai unke bare me bataoo...
Tell us something
about the characters "Motu Patlu", How did the idea of Motu Patlu
come in your mind? Did you ever think of that these characters are going to be
like by the audience this much?
Motu Patlu
ki jahan tak baat ki jaye jiss time Motu Patlu ko shuru kiya gya tha uss time
Hindustan mein, bhaar ke character zyada aate the, betal ho gye, mendrate ho
gye, to uss time hindustani character bahut
kam nazar aaya karte the, balki bahut hi kam the, ek aabid sahab ka, surti sahab
ka bhadur tha, dabbu ji tha ya or jo akhbaro me steps they aur bahot comic
character aise nazar nahi aatey they to uss time Motu Patlu ka janam haa, Motu
Patlu ek aise character hai jisko karib karib aaj mujhey 40 saal se zayada ho
gaye, likhte hoye bhi, aur uskey cartoon banatey huye bhi, or usko
"LotPot" magazine me aatey huye, T.V. par atey hoye, kyunki Motu Patlu
aaj sabko iss liye bhi pasand hai kyunki... Ek matra aise character hai jo gel
karte hai apkey poorey parivaar ke sath, apkey bachoo ke sath, apkey maa-baap
ke sath, khud apkey sath, yaani poori family ke uskey andar wo ek shikshaaye
hoti hai kuch vulgar nahi hota, kuch aisa nahi hota jo hamarey sanskaroo se
hamari sanskriti se mail nahi khata, isiliye ye bahut prasidh bhi hoye, or
Sarahey bhi gaye, ar peechle 5 saal se lagatar best cartoon character ka inaam
bhi jeet rahe hai.
Nahi esa
nahi hai ki Hindustan ke jo character hai, jo Indian cartoons hai wo bahar ke
kisi cartoon se kisi roop me kam hai, bahut se cartoonist hai , bahut se
hamarey aise character hai, jo unko takkar dete hai as a quality me, aur aaj ki
date me to graphics ko 3D animation bhi kaha jata hai, to usmey wo hindustan me
Hollywood ki filmo ka kaam mere khyal hai 30% se 40% hindustan me hi hota hai,
or kyunki ache cartoonist yaha hai, atche dimaag wale yaha hai, aisa nahi hai
phele agar kam hota tha to moka kam milta tha, ha ye apke mokey ki baat hai, ki
ajj sabko mokka milraha hai, to sab apna hunarr bhi dikha rahey hai, bahut sare
charitr hai, dhruv hai, naagraaj hai, motu Patlu hai, deva hai, or na janey,
dadi ji hai, bahut matlab, kis kis ka naam liya jaye, kis kis ka na liya jaye,
hazaro ki sankhya me hai or poori mazbooti se poori taakat se apni wo kamyabi
ke sath tike huye hai or chal bhi rahe hai.
Are you
into Writing and Direction? Do you think that the Quality of Writing is
decreasing these days?
Haa ye mera
sobhagye raha hai, sahi hai apka sawal ki likhta bhi raha ho or Direct bhi kiye
hai, mene Hollywood me direct kiya hai, mene hindustan me bhi kiya hai, jitna
mere jaise garib aadmi ko mauka milla hai, aaj ki agar aap baat boltey hai ki
writing mein quality down Hui hai nahi Aisa nahin hota Darasal har pichli chiz
humko behtar hi lagti hai kyon? kyunki woh Apne waqt ke hisab se a khubsurat
hoti hai to woh Jaise Jaise ham aage badhte hain kuchh naya aata hai humko lagta hi nahin pahle wala achcha tha
fir jab useey agla waqt aata hai to fir hamen lagta hai tab ham isi kam ko
badhiya kehte Hain jab isko aaya tha mujhe aaj tak yad hai music ki agar ham
baat karen to use samay kaha jata tha nahin vo jo Melody thi jo 70 ke dashak me
tha woh geet acche the, disco ne barbad kar Diya Aaj ham usko retro ke naam se
usi ko aur khubsurat lagta hai har woh chiz
jiski kadar tab padhti hai jab woh Chali jaati hai, yahi writing ke barey
me hai, lekin Aaj bhi ye bahut khubsurat likhane Wale Hain Manoj Muntashir
Sahab Hain unse khubsurat koi kya likhega baahubali unhone likhi aur bahut sare
geet unke ek ke geet ke andar Manoj Muntashir ke, matlab Kamal aur ek mitti ki
khushbu hoti hai aur aise bahut sare Hain Hindustan mein sab achcha bhi likhte
hain kuchh achcha nahin likhate kuchh achcha likhte Hain sab yah apney apney
calibre ke upar hai, hum kisi Ko kuchh nahin kah sakte lekin hamara bhavishya
Aaj bhi Ujjwal hai, Kal bhi Ujjwal tha, kyunki literature Hindustan ki jadon
mein hai hamari mitti mein hai aur Jo hamari mitti mein hota hai Jo hamari
filmon mein dikhta hai yah Jo hamare theatre drama ya hamari soch mein dikhta
hai usse khubsurat to kuchh Ho hi nahin Sakta aur sahitya ki baat Kare ya
writing ki baat Kare Aaj bhi usi quality ke sath Hain kam zyada bahut sari chizen
Hain kya aapko pasand aata hai kya aap ke samne dikhta hai to jyada Jo dikhaya
jata hai agar wo kharab dekaya ja raha
hai to apko lagta hai sab kuch kharab hai agar zyada achcha woh dikhaya jata
hai to lagta hai sab kuchh achcha hai, isliye achcha dikhaya Jana chahiye
kyunki positive rehna chahiye agar zindagi ko aap positive nahin karenge to fir
yeh to aap sabhi kuch negative dekhanyenge to woh negative dikhega soch hamari
hai, sochna humko hai.
What are your views on the current scenario in Bollywood?
Aajkal Jo
Bollywood mein ho raha hai hai kuchh naya nahin ho raha hai sadiyo se yah chizen
chalti aa rahi hai aur chalti rahti hai kyunki yah wohi chizen Hain kuchh Na
kuchh sanchalan hote rehte hain kuchh Na kuchh karname hote rehte Hain. Maine
vahi kaha ki jo aapke pass ek khane ki thaili hai aapko jo parosa jata hai
aapko kuchh bhi karo parosengey aur aap usko kha lenge to aapka pet kharab hi
hoga to aap vahi khate hai jo aapko khana hai jo aapko dekhna hai agar aap
achcha dekhna chahte Hain to aap achcha dekhiye baki Jo Ho Raha hai dekho
duniya mein har jagah kuchh Na kuchh log acche hote Hain kuchh log bure hote
Hain, ab ek hi tarazu mein aap sabko nahin Tol sakte main to yahi kahunga ki
criticise hona bhi sikhiye lekin Bhasha ki maryada ko hamesha apne pass rakhiye
kyunki aapki bhasha hi Shahad honi chahiye, Dushmani karo to jam ke karo, Magar
yah khyal rahe kal agar dost Bane to sharminda Na Ho.
Iska itna lihaz hona chahiye ki ham kya bol rahe hain agar ham kisi Ko provoke karne wali bhasha mein jo jis tarah ham bolate Hain, uska 10 Guna repeat wapas aata hai achha boliye kisi baat Ko acche tarike se bhi kaha ja sakta hai kisi ki burai, burai to main nahin kahunga ki koi galat hai to usko dhang se bhi kaha ja sakta hai ki yah mat karo yah chizen acchi nahin hai aur har aadami samajhdar hai Rahi baat
usko pathar markar samjhane ki to vah aapko entt markar jawab de dega so sab aise hi chalta hai bus achcha achcha dekhiye achha achha hona chahiye jo galat hai usko Saza upar wala de raha hai jo ham karte Hain hame Apne karmo ki Saza Milni hi hai ham judge Bankar kisi ka faisla karne Wale hotekaun hai ki Kaun achcha hai Kaun Bura hai meri nazar mein sab acche Hain Jo aap kar rahe hain agar aap soch samajh kar kar rahe hain to achcha hi hoga aapki nazar mein aur uska fayda milta hai aur jo galat karte hai to uske zimmedar bhi aap honge isliye Jo kijiye soch samajhkar kijiye ki woh aapke Parivar ko achcha Lage. chupp kar Kiya Gaya har kaam, Bura hi hota hai Jogi ji samne aaiye sach boliye aur sach bolne se acchi koi chiz nahin Hoti bahut bahut shukriya bahut achcha Laga. Main aabhari hun aap sabka Sensationz media and arts ka aur aise hi khubsurat mujhe thoda sa waqt unhone Diya bahut bahut dhanyvad bus aise hi Khush rahiye yahi message mera last mein Khush rahiye mast rahiye positive rahiye acche rahiye kyunki zindagi jeene ke liye bani hai isko khatm nahin karna isko jaise chahe halat kaise bhi ho apne aap ko zinda dili ke sath Puri mazbooti ke sath Puri takat ke sath pure junoon aur aur Josh ke sath Khade rahiye use jagah per ek din safalta aapke kadam chume gi. pana hai agar Manzil ho to apni soch ko badlo kashtiyan badalne se kabhi Sahi nahin mila karte. ok janab khuda Hafiz Ram Ram Salam Jay Hind fir milenge.
Comments
Post a Comment