A better view of Acting & Modeling - Komal Thacker (Model & Actress)
A better view of Acting & Modeling - Komal Thacker (Model & Actress)
Before you became a model how did you proceed in
modelling industry when young?
Sach kahun to mujhe modelling ke bare mein pahle zara bhi
nahin pata tha acting ke bare mein bhi pata nahin tha because main isse pahle
kabhi Na fashion shows dekhe the Na mujhe pata tha kaise shoot hota hai and mera
sabse pahle experience bahut hi kharab hua the because mujhe abhi bhi yad hai mene
Pantaloons brand ke liye fashion show kiya tha and in between me walk karte
karte mein stop ho gai, blank Ho gai aur main vahan khadi reh gai thi aur mujhe
piche se awaaz arri thi ki Komal go and walk, tum apna walk khatam Karo but I
don't know mein itni blank Ho gai thi ki vahan per hi khadi rah gai and sabko
lights band karni padi, and vo round khatm karna pada. So ya mujhe pahle nahin
pata tha tab main kam seekha, uske bad main kafi saree shoot kiye, cover page
shoot kiye, kafi brand ke liye cover page shoot kiye Hain.
Aap hamesha itna positive, confident aur apni body ke
sath itna comfortable kaise dikhte hain, we will be glad agar aap apna secret
hamare viewers ke sath bhi share Karen?
Main apni body ke sath comfortable means mein waise hi kapde
pahenti hu Jo mujhe comfortable feel karaye and ya Jaisa shoot rehta hai uske
character To main usi ke hisab se apna workout Karti hun, mujhe lagta hai ki
housewife ka character karna hai to main yoga Karti hun aur agar mujhe lagta
hai ki mujhe teenager ka role karna hai
to main hard workout Karti hun, diets per rehati ho, or jab mera shoot nahi
rehata tab me kuch bhi ni krti, na workout na yoga, me bass chill karti ho,
soti ho, so me apney aap ko wese hi confidence deti ho, and comfortable feel karti
ho, rahi baat positivity ki, dekho sabki life me achha time or bura time aata
hai, and din me kaffi esi cheeze hoti hai, jo apko na-ummeed dilati hai, So be
positive, har problem ka solution hota hai, and aaj ni to kal uska rasta
nikalta hai, to aap shanti se bethiye or uss problem ke barre me sochiye, to
uska rasta mill hi jayega, always smile kartey rahey , khush rahiye ussey aap
postive bhi rahenge , or problem ka solution bhi milega.
As a model aapko modelling or acting field me kya
similarity dikhti hai. Ya kuch baate jo dono hi field me equally important hai?
Confidence I think. Dono hi field me confidence bhoot zaroori hai, positivity zarorri hai, or apkey
andar jo urja hai kaam karney ki, wo
chahiye modelling field me ho, chahy acting field me ho, apke andar wo urja
honi bhoot zarorri hai, so me jab bhi camera lights dekhti hu , to me kaam karney
ke liye despirate ho jati hu, so mere liye to modelling field ho ya acting
field ho, mujhe bass kaam karney ko chahiye, or lights camera me jab apna shot
dekhti ho to me urja se bhar jati hoo, to mere liye ye hi similarity hai ki, be
positive, be confident.
Modelling or acting mein kadam rakhne wale new talent ko
aap kya advice dena chahogi?
Ye hi advice doongi ki haar mat maaniye, because mene kaafi logon ko dekha hai jo Teenagers hai wo jaldi haar maan jaate hai ki hamara kuch ni hoga 2-4 audition dene ke baad unko lagta hai ki ham ye field me aagey ni badd payengey, to unko me ye hi kehna chaoongi lagatar mehnat krte rahiye , 1 baar nakamyaabi milti hai 2 baar milti hai, lekin usi me se apko kuch na kuch sekhney ko milta hai, to nakaamyabi ko wese mat dekhiye, be positive ki aaj nahii to kal kamyaabi milegi , apko lagataar mehnat krni hai, and positive rehna hai.
Aisi kaun si baten Hain Jo log modelling aur acting field
ke bare mein galat sochte Hain?
Dekhiye log to galat samjhtey hi hai agar film line ya
modelling line ki baat hai to logo ko ye lagta hai ki ham log kaafi bold hotey
hai kafi bold mind ke hotey hai, unko lagta hai ki ladkiyo ke kaafi boyfriend
hotey hai, and Drugs, cigarate letey rehatey hai , lekin me unko kehna chaoongi
ki zarorri nahi ki sab log wese ho, agar jo film line me ya modelling line me
hai to wo bhi familiar hote hai, zarorri nahi ki unki aadatey kharab ho, ya jo
kuch log hotey hai, unko achaa lgta hai party karna.
Comments
Post a Comment